Showing posts with label Daal. Show all posts
Showing posts with label Daal. Show all posts

Friday, July 22, 2011

Punjabi Dahi Baray

Ingredients:

Mong or maash ki dal   1/2 cup
Dahi   1/2 kg
Sugar   3 tbsp
Salt    Hasb-e-zaiqa
Lal mirch pissi hoi 1 tbsp
Zeera   1 tbsp
Lal Mirch sabit  8 adad
Imli ka paani  1 cup
Oil    1 cup
Hara dhanya for garnishing

Method:

- Mong or maash ki daal ko adha ghanta pehly bhigo kar rakh dein or phir usey bareeek pees lein.
- Is main ek tbsp namak or ek tbsp lal mirch mila lein.
- Ab frying pan main oil garam kar k chohti chohti phulkiyan bana kar dalty jayein. or fry kar k ek bowl main pani le kar us main bhigoty jayein.
- Imli k pani main ek tbsp sugar, adha tbsp namak dal kar cholhay per paka kar garha paste bana lein.
- Dahi main 2 tbsp sugar or 1/2 tbsp namak or thora sa pani dal kar pheint lein.
- Zeera or sabit mirch taway per bhon kar pees lein.
- Ab phulkiyan pani se nikal lein or pani nichor kar ek dish main rakhty jayein.
- sari phulkiyan dish main rakhney k bad upar se dahi dal dein or is k bad imli ka paste dahi baron per thorey fasly se dalty jayein or zeera, hara dhanya or sabit mirch chihrk dein.
- Laziz punjabi dahi baray tayar hain.

Thursday, May 26, 2011

Mix Daal (Lentil) By Chef Saadat

Ingredients:

Dal chana     1 cup
Dal mong    1/3 cup
Dal maash    1/3 cup
Dal masoor     1/3 cup
Salt hasb-e-zaiqa
Lal mirch sabit    3-4 adad
HAldi        1/3 tsp
Lal mirch kutti hoi    1 tbsp
Oil        1/2 cup
Zeera        1 tbsp
Piyaz (small size - Baghar k liye)1 adad


Method:

- Tamam dalein pani main dal kar ubal lein. Jab ubaal aney lagy to is main namak, sabit lal mirch, haldi aur kutti hoi lal mirch shamil karein.
- Ab dhakan band kar k halki aanch per pakny dein.
- Jab daal gal jaye agr zarorat ho to mazeed pani dal dein.
- Baghaar k liye oil main piyaz brown kar k zeeray ka tarka lagayein or dal k uper dal dein.
- Mazedar mix dal tayyar hay. Roti ya chawal k sath serve karein.

Thursday, February 24, 2011

Chanay ki Daal ka Paratha


Ingredients:

Chanay ki daal 1 pao (250 gm)
lal mirch pissi hoi 1 tbsp
safaid zeera pissa hoa 1 tbsp
kalonji 1/4 tsp
salt hasb-e-zaiqa
aata(flour) hasb-e-zarort

Method:

- Dal ko ubal kar pees lein. Phir is main lal mirch,namak, safaid zeera dal kar mix karlein.
- Aata gondh lein. ab pairey bana kar is ko piyaley ki shape de kar us main dal bhar kar band kardein. ab parathey ki tarah beil kar seink lein.
garam garam parathay tayar hain. Chatni ya raity k sath serve karein