Thursday, February 24, 2011

Kashmiri Chai (Pink Tea)


Ingredients:

Green tea 1 tbsp
loung 4 adad
daar cheeni 1 bara piece
choti elaichi 4-5 adad
Khanay ka soda 1 chutki (1 pinch)
salt hasb-e-zaiqa
sugar hasb-e-zarorat
dodh (milk) 1 kg
pani 4 cup
badam pista (bareek katy howe) hasb-e-zarorat

Method:

- Ek baray sauce pan main 4 cup pani dalein. ab us main green tea, loung, daar cheeni, elaichi, namak dal kar ubaal lein.
- Jab pani boil honay lagay to us main soda dal kar ache tarah phaint lein, yahan tak k paani ka rang red sa ho jaye.
- Is mixture ko itna pakayein k pani khushk ho k 1 se 1 1/2 cup reh jaye. ab is main milk or sugar dal dein or mazeed pakayein.
- Akhir main Badam or pisty shamil kar dein or garama garam kashmiri chaye serve karein

Kachchay Kaily (banana) kay Kabab

Ingredients:

Kachchy kaily 6 adad
chanay ki daal 1/2 cup
salt hasb-e-zaiqa
safaid zeera, kali mirch pissi hoa 1 tsp
lehsan adrak ka paste 1 tbsp
lal mirch pissi hoi 1 tbsp
oil 2 tsp

Method:

- kailon k chihlkay utaar kar 3-4 pieces kar k daal k sath ubaal lein.jab dono gal jayein to pani se nikal lein.
- ab kailon or daal ko ache tarah pees lein.
- Phir us main safaid zeera, kali mirch, lehsan adrak paste, lal mirch, namak dal ker mix karlein or kabab ki shape main tikya bana lein.
- Fry pan main oil garam karein (karahi use na karein). Halki aanch per thorey se oil main kabab ko fry karein. Brown honay per nikal lein. Garam Garam ketchup k sath serve karein

Chanay ki Daal ka Paratha


Ingredients:

Chanay ki daal 1 pao (250 gm)
lal mirch pissi hoi 1 tbsp
safaid zeera pissa hoa 1 tbsp
kalonji 1/4 tsp
salt hasb-e-zaiqa
aata(flour) hasb-e-zarort

Method:

- Dal ko ubal kar pees lein. Phir is main lal mirch,namak, safaid zeera dal kar mix karlein.
- Aata gondh lein. ab pairey bana kar is ko piyaley ki shape de kar us main dal bhar kar band kardein. ab parathey ki tarah beil kar seink lein.
garam garam parathay tayar hain. Chatni ya raity k sath serve karein

Wednesday, February 23, 2011

Potato Balls

Ingredients:

Aalo 4 adad
Egg 1 adad
Zeera, kali mirch pissi hoi ½ tsp
Salt hasb-e-zarorat
Imli ka gooda 1 tbsp
Lal mirch 1 tsp
Chat masala ½ tsp
Besan 1 cup
Lehsan ka paste ½ tsp

Method:

- Aalo or egg ko boil kar kar ache tarah mesh (masal) lein.
- Ab is mixture main half tsp lal mirch, zeera, kali mirch, namak, chat masala, imli ka gooda dal kar ache tarah mix karlein. Phir is mixture ko balls ki shape dey dein.
- Ab ek bowl main besan ghol lein. Is main lehsan ka paste or thora sa namak or half tsp lal mirch dal k mix karlein.
- Ab Oil garam kalein. Ab un balls ko is besan k misture main lapait kar fry karein. Golden brown honay per nikal lein. Or garam garam ketchup ya chatni k sath serve karein. -

Gulgula


Ingredients:

Aata (flour) 2 cups
Sugar half cup
salt ¼ tsp
Khopra (optional) ½ tsp
Sonf (optional) ½ tsp
Badam/pista (optional – bareek katay howe) ½ tsp

Method:

- Thorey se pani main aata, sugar, namak, khopray,sonf or dry fruits dal kar ache tarah mix karlein. Mixture ko thorey dair k liye rakh dein takey sugar ache trh mix hojaye. Mixture ko thick rakhna hay takey round shap dey sakein
- Ab ek karahi main oil ko garam karein. Ab is mixture ko balls k shape main oil main halki aanch per fry karein. Dark brown honey per nikal lein. Mazedar gulgully tayar hain. Garam garam serve karein.

Thursday, February 17, 2011

Potato Chicken Kabab


Ingredients:

chicken boneless (4-5) normal size pieces
hara dhanya 3/4 bunch
hari mirch 3-4 adad
soya sauce 2 tbsp
aalo 4-5 adad
garam masala half tsp
egg 2 adad


Method:

Aalo ko chhel kar chicken k sath thoray pani main soya sauce or thora sa dhanya dal kar ubal lein. is tarah k paani usi main khushk hojaye. ab chicken k bht choty pieces karlein (bareek reshay karlein). aalo ko achi tarah mesh karlein ab aalo main chicken k pieces, namak, dhanya, hari mirch or garam masala dal k bht achi trh mix karlein or kabab ki shape de dein. phir egg phaint lein or kabab ko anday main lapait kar fry karein, golden brown honey per nikal lein. garam garam kabab ko ketchup ya chantni k sath serve karein

Aalo k parathay


Ingredients:

aalo 4 adad
hara dhanya half bunch
hari mirch 3-4 adad
salt hasb-e-zaiqa
lal mirch half tsp
kalonji 5-6 dany
aata or maida 4-5 pairy
oil / ghee (hasb-e-zarort - parathy fry karney k liye)

Method:

Aalo ko ubal kar us ko ache tarah mesh (masal) lein. ab us main namak, hari mirch,hara dhanya,lal mirch or kalonji dal dal ache tarah mix kar lein. Parathy k liye aata/maida k pairy bana lein. pariy ko piyaley ki shape dein phir us main aalo k mixture ko bhar dein.phir ahtyat se pairy ko band kardein.ab ahista ahista parathy ki tarah beil lein. phir garam garam ghee /oil main fry karein. chantni ya raity k sath garam garam serve karein.

Saturday, February 12, 2011

Chicken Platters


Ingredients:

chicken boneless 6-8 pieces
lemo ka ras half tbsp
soya sauce 1 tbsp
ssafaid mirch 1 tbsp
egg 2 adad
salt hasb-e-zaiqa
breadcrums half cup
oil hasb-e-zarort

Method:

Chicken k pieces per namak,safaid mirch,lemo ka ras or soya sauce laga kar 2 hours k liye rakh dein. ab egg phaint lein or chicken k pieces ko anday main dip karein phir breadcrums main lapait kar fry karlein. jab golden brown hojaye to cholha band kar dein. chicken platters tayyar hain. Hari chatni ya ketchup k sath serve karein

Zinger Burger


Ingredients:

Chicken k pieces 4 adad (boneless)
burger bun 4 adad
breadcrums 2 cup
musturd powder 1 tbsp
salt hasb-e-zaiqa
kali mirch 1 tsp
pissi hoi lal mirch adha tsp
egg 2adad
corn flour 1 cup
myonese 4 tbsp
salad k patty 4-5 adad
corn flex (bareek kiye hoe ) 1 cup

Method:

Chicken k pieces per namak, kali mirch, musturd powder, pissi hoi lal mirch laga kar 2 ghanty k liye rakh dein. oil ko garam karlein. ab anday phaint kar us main chicken k pieces ko dip karein phir corn flour main dip kar k ek coat karein phir corn flex ka ek coat lagayein phir ek dafa anday main dip karein or corn flex main lapait kar garam oil main deep fry karein.jab golden brown hojaye to nikal lein.ab ek burger bun lein us main chicken piece rakh salad k patty rakh kar myonese or ketchup lagain. or garam garam ketchup k sath serve karein.

Thursday, February 10, 2011

Chicken Roll Paratha


Ingredients:

Chicken bone less adha kilo (square main katey hoe)
lal mirch pissi hoi 1 tbsp
haldi adha tsp
pissa hoa garam masala adha tsp
sirka adha tsp
koela ek piece
safaid ata 6 pairon k liye
oil 5-6 tbsp
salt hasb-e-zarort
mayonese , ketchup, lehsan powder hasb-e-zarort
Piyaz (lachhy dar kati hoi)
 
Method:

Chicken per namak, lal mirch, haldi, sirka, pissa hoa garam masala laga kar oil main pakayein or bhoon lein. jab fry jesa hojaye to cholha band kardein. koela cholhey per jala kar chicken ko dhowan dein. ab pairon ko beil kar naram parathay bana lein. ek piyalay main mayonese, lehsan powder or ketchup mix karlein or parathy per lagain. chicken k pieces dalein or piyaz dal kar roll karlein. Mazedar roll chatni k sath paish karein
 
 
 
 

Tawa Chicken



Ingredients:

Chicken 1 kg (baray pieces)
lemon 2 adad
pissi hoi lal mirch 2 tbsp
adrak lehsan ka paste adha tbsp
pissa hoa garam masala 1 tsp
sirka 1 tsp
dahi 1 pao
hiri mirch 4-5 adad
hara dhanya adha bunch
raaii adha tsp
musturd paste 1tbsp
oil hasb-e-zarort
salt hasb-e-zarort
 
Method:
Chicken main dahi, lemo ka ras, lalmirch,garam masala, adrk lehsan ka paste or thora sa oil or sirka laga k thori dair oven main bake karlein or saath he koely ka dhowan bhi dein. adha gal janey per oven se nikal lein. phir oil garam kar k chicken k pieces ko us main daal dein. uper se kati hoi mirchain, lemo k gol slice or hara dhanya dal dein. bachy hoe dahi ko phaint lein, is main namak, raaii or musturd paste daal dein or jab dahi ka paani khushk hojaye to kati hoi mirch daal kar cholha band kardein. mazedar tawa chicken tayar hay. nana or raity k sath garam garam paish karein

Wednesday, February 9, 2011

Chicken Wings




Ingredients:

Chicken wings adha kg (skin k sath)
kutti hoi lal mirch 1 tbsp
haldi half tbsp
soya sauce 2 tbsp
sirka 1 tbsp
chili garlic sauce 2 tbsp
bar-b-q sauce 2 tbsp
safaid mirch 1 tsp
pissi hoi lal mirch adha tbsp
oil 8 tbsp
adrak lehsan ka paste 1 tbsp
salt hasb-e-zaiqa

Method:

Chicken wings ko kutti hoi lal mirch, haldi,namak,soya sauce,sirka,chili garlic sauce,bar.b.q sauce, safaid mirch, pissi hoi lal mirch, adrak lehsan ka paste or chinese salt laga kar 2 ghanty k liye rakh dein. phir ek non-stick pan main oil garam kar k is main chicken wings ko bichha dein or jab ek taraf se golden hojayein to palat dein. jab dono side golden brown hojayein tab cholha band kardein or dish main nikal kar ketchup k sath serve karein.

Malai Kofta


Ingredients:
aalo 5 adad boil kiye howey
breadcrums( doubleroti ka choora) ek cup
khopra adha kilo
hari mirch 3-4 adad
hara dhanya adha bunch
dahi ek pao
zeera 1 tsp
haldi 1 tsp
pissi hoi lal mirch 1 tsp
oil hasb-e-zarort
tamatar ka paste adha kg
salt hasb-e-zarort


Method:
Aalo ko mesh karlein ab is main bareek kata hoa hara dhanya, lal mirch powder dal kar mix karlein aur is k kofty bana kar breadcrums main lapait kar fry karlein.
ab ek degchi main oil garam kar k zeera, tamatar ka paste, dahi, namak, haldi, pissa hoa garam masala, or khopra dal kar bhoon lein. jab garha (thick) hojaye or oil uper anay lagay tab hari mirch dal kar bhoonein or cream shamil kardein. 2-3 minutes pakayein or fry kiye howe kofty dal kar cholha band kardein. hara dhanya dal kar saja dein or garam garam nan k sath paish karein.

Lahori Chicken

Ingredients:
chicken 1 kg ( 4 baray piece)
adrak lehsan ka paste 1 tbsp
pissa hoa garam masala 1 tbsp
pissi hoi lal mirch 2 tbsp
oil 1 cup
salt hasb-e-zaiqa
zarday ka rang (ek chutki k barabar)
lemo ka ras 2 tbsp
jaifal 1 small piece
javetri 4 small pieces
bhuna hoa safaid zeera adha tsp

Method:
Chicken ko kanty (fork) ki madad se cuts lagain or is per adrk lehsan ka paste or tamam maslay laga kar 2 ghanty k liye rakh dein. ab chicken ko 10 minute steam karein. jab gosht adha gal jaye to karhai main oil garam kar k golden brown honay tak fry karein. Garam garam nan or raity k sath pesh karein.