Wednesday, March 23, 2011

Sindhi Biryani


Ingredients:

Chicken 1 kg
Basmati Chawal 1kg
Dahi 1 piyali
Lal mirch pissi hoi 1 tbsp
Dhanya pissa hoa 2 tbsp
Haldi 1 tbsp
Lehsan adrak ka paste 1 tbsp
Garam masala pissa hoa 1 tbsp
Salt hasb-e-zaiqa
Aalo bukhar 1 piyali
Hiri mirch 6 adad
Podina (bareek kata hoa) 1 bunch
Lemon 3 adad
Tez patty 3 adad
Aalo 1/2 kg
Tamatar 4 adad
Piyaz (bareek kati hoi) 4 adad
Garam Dodh (milk) 1/2 piyali
Zarday ka rang 1/4 tsp
White sirka 1 tbsp
Oil/ghee 1/2 piyali


- Aalo bukhary ko 1 cup garam pani main bhigo dein.
- Aalo ko halki si bhaap dey kar 4 tukro main kat lein or deep fry karlein.
- Chawal dho kar 20 mintues k liye pani main bhigo dein.

Method:

- Ek baray piyaley main gosht, dahi, garam masala, haldi, mirch, dhanya, namak or adrak lehsan mila kar rakh dein
- Tamatar k bhi 4 piece kar kar shallow fry karlein
- Ek degchi main oil/.ghee garam karein or piyaz ko fry karein. Jab golden brown hojaye to adhe nikal kar akhbar per phela dein takey crisp hojaye or baqi aadhi main masala laga hoa gosht dal dein or halki aanch per dhak kar chor dein or paknay dein.
- Jab pani khushk honay lagy to bheegy howe aalo bukhary k beej nikal kar us main dal dein. Halka sa bhon lein.
- Taley howe aalo or tamatar ko uper rakh kar halka sa dam dein.
- Podina, 3 hari mirch or 2 lemo ka ras dal dein.
- Ab ek alag degchi main pani garam karein or us main hiri mirch, tez patty or podina dal kar boil karein.
- Pani main ab chawal dal dein or sath main namak or sirka dal kar 2 kani ubal lein.
- Jab 2 kani ubal jaye to pani chahn lein.
- Ab chawal wali degchi main nechy thori se chiknai laga kar ek teh chawal ki bichhayein. phir us per gosht ki teh lagayein. Phir thori c piyaz dalein or phir chawalon ki teh lagayein.
- Garam dodh main zarday ka rang mix kar k chawalon per dalein.
- Tali howi piyaz or 2 lemon ka ras dal kar taway per rakh kar tez aanch per dam laga dein.
- 10 mintues bad aanch halki kardein. 10-15 minutes bad cholha band kardein.
- Mazedar sindhi biryani tayyar hian. Raity k sath serve karein

Tuesday, March 22, 2011

Galawati Pasanday by Chef Shireen Anwar


Ingredients:

Beef pasandy 1/2 kg
Dahi 1 cup
Oil 1/4 cup
Dhanya pissa howa 1 tsp
Lal mirch pissi hoi 1 tsp
kuti hoi lal mirch 1 tsp
salt hasb-e-zaiqa
Lehsan Adrak ka paste 1 tbsp
Papety ka paste 1 tbsp
Garam masala 1/2 tsp
Besan (Bhuna howa) 2 tbsp
Piyaz (Tali hoi or pissi hoi) 2 tbsp

For garnishing: Piyaz (rings ki shape main katy howe, hiri mirch, podiney k patty)

Method:

- Pasanday main papety ka paste, namak, bhuna hoa besan, tali or pissi hoi piyaz, garam masala, dahi, adrak lehsan ka paste, pissa howa dhanya, pissi or kuti hoi lal mirch mix (marinate) kar k 1 hour k liye rakh dein.
- Ab koely ka dam dein or oil garam kar k is main marinate kiye howe pasanday dal kar halki aanch per 20 minutes tak pakayein, yahan tak k wo gal jayein or fry hojayein.
-Akhir main inhain nikal kar piyaz k rings, hiri mirch or podiney k patton se garnish kar k serve karein.

Monday, March 21, 2011

Chinese Samosay


Ingredients:

Chicken boneless 1/2 kg
aalo 4 adad
egg 5 adad (boiled-ublay howe)
salt hasb-e-zaiqa
kali mirch hasb-e-zaiqa
samosay ki pattiyan hasb-e-zarorat
ghee/oil for frying

Method:

- Chicken or aalo k choty choty piece kar k kali mirch or namak sath thorey se pani main pakayein.
- Jab pani khushk hojaye or chicken or aalo gal jayein to is aamezay ko achi tarah mix karlein.
- Ab ublay howe eggs k pieces kar k is mixture main shamil karein.
- Ab ye mixture samosay ki patti per rakhein or samoson ki shape dey dein.
- Frying pan ya karahi main oil/ghee garam karein or samosay us main dal dein. Golden brown honey per nikal lein.
- Ketchup ya chatni k sath mazedar chinese samosay serve karein.

Friday, March 18, 2011

Chicken Sandwich by Chef Zakir


Ingredients:

Chicken boneless 200 gm
Oil 3 tbsp
Lal mirch pissi hoi 1/2 tsp
salt hasb-e-zaiqa
Kali mirch pissi hoi 1/2 tsp
lehsan ka paste 1/2 tsp
egg 3 adad
tomato ketchup 1 cup
Mayonnaise 1 cup
Bread 8 slices
Cheese slice 4 slices
Salad k patty/tamatar(slices) for decoration

Method:

- Boneless chicken k cubes kat lein or ek pan main oil dal kar us main chicken dal dein.
- Jab chicken white honey lagy to us main lehsan paste, pissi hoi lal mirch,kali mirch or namak daal kar bhoon lein.
- Anday phaint lein or thora thora frying pan main daal kar fry karlein.
- Bread k 4 slices ko saink lein or kinary kaat lein
- Ek slice per ketchup lagayein, phir us per anda rakhein phir mayonnaise dalein or phir chicken.Ab is per cheese slice rakh kar tamatar k slice rakhein or phir salad k pattay.
- Dosrey slice per ketchup laga kar is k uper rakhein. Mazedar sandwich tayyar hay.

Thursday, March 17, 2011

Chicken Corn Soup by Chef Zakir


Ingredients:

Chicken (small pieces) boneless 100 gm
Egg 1 adad
Corn flour 4 tbsp
Salt hasb-e-zaiqa
Black pepper 1/4 tsp
White pepper 1/4 tsp
Chicken yakhni 3 cups
Carrot 1 adad
Onion 1/2 adad
Green onion 1 adad
Sweet corns 1 cup

Method:

- Yakhni main boneless chicken, onion, carrot or green onion shamil kar k 10-15 mintues tak pakayein phir dhak kar chor dein.
- Ab vegetables ko yakhni main se nikal lein.
- Yakhni main namak, sweet corns, kali mirch, safaid mirch shamil karein.
- Corn flour ko ½ cup pani main mix karein or soup main dal dein. Spoon chalaty rahain takey ghutliyan na ban jayein.
- Egg ko phaint lein or soup main mix karein. Spoon continusoly chalaty rahain.
- Jab soup garha hojaye to chohla band kardein. Garam garam soup chili sauce, vinegar or green chilies k sath serve karein.

Saturday, March 12, 2011

Lab-e-Sheeren


Ingredients:

Milk 1 kg
Fresh cream 1 packet
Sugar 1 cup
Corn flour 5 tbsp
Jelly 2-3 colors
Pineapple 1 tin
Apple 1 adad
Banana 2-3 adad
Grapes 1 cup
Roh afza sharbat 3 tbsp
Badam pista akhrot for garnishing

(Apple, banana, pineapple k choty choty pieces karlein)


Method:

- Milk main sugar dal kar pakney dein. jab sugar ghul(melt) hojaye or dodh boil hojaye to corn flour ko thorey se thandy dhodh main mix kar k paktey howe dodh main dal lein yahan tak k dhodh custurd ki tarah garha hojaye.
-Ab is mixture main cream mix karein or thanda honay k liye rakh dein
-Ab jelly tayar kar k us k pieces bana lein.
-Jab mixture ache tarah thanda hojaye to us main roh-afza/sharbat, sarey fruits, jelly dal kar mix karein. Nuts se garnish kar k serve karein.

Sunday, March 6, 2011

Almond Fritters


Ingredients:

Maida 2 cup
Butter 1/2 cup
egg 1 adad
Badam 1/2 cup
Sugar 1/2 cup
Icing sugar for garnishing
oil for frying

Method:

-Maiday main egg,butter,sugar or badam pees kar shamil karein or gondh lein.
-Ab apni apni ka koi bhi shape dey kar fry karlein.
-Fry karney k bad usko thanda karein.Jab thanda hojaye to icing sugar chihrk dein.
-Mazedar almond fritters ready hain. Sham ki chaye k per serve karein.


Chapli Kabab


Ingredients:

qeema 1/2 kg
sabit dhanya kuta hoa 2 tbsp
egg 2 adad
zeera kuta hoa 2tbsp
anar dana 1 tbsp
piyaz bareek kati hoi 3 adad
hari mirch bareek kati hoi 4 adad
lal mirch kuti hoi 1 tbsp
lehan ka paste 1 tbsp
tamatar, kheeray k slices for garnishing
oil for frying
salt hasb-e-zarorat

Method:
-Ek bowl main qeema main upar diye gaye saarey masalay mix kardein.eggs ko bhi phaint kar qeemay main shamil kardein or kuch dair k liye rakh dein.
-Ab frying pan main oil garam karein, or qeemy k kabab bana kar fry karein. dark brown honay per nikal lein.
- Tamatar or kheery k sath garnishing kar k ketchup k sath garam garam serve karein.