Friday, July 22, 2011

Punjabi Dahi Baray

Ingredients:

Mong or maash ki dal   1/2 cup
Dahi   1/2 kg
Sugar   3 tbsp
Salt    Hasb-e-zaiqa
Lal mirch pissi hoi 1 tbsp
Zeera   1 tbsp
Lal Mirch sabit  8 adad
Imli ka paani  1 cup
Oil    1 cup
Hara dhanya for garnishing

Method:

- Mong or maash ki daal ko adha ghanta pehly bhigo kar rakh dein or phir usey bareeek pees lein.
- Is main ek tbsp namak or ek tbsp lal mirch mila lein.
- Ab frying pan main oil garam kar k chohti chohti phulkiyan bana kar dalty jayein. or fry kar k ek bowl main pani le kar us main bhigoty jayein.
- Imli k pani main ek tbsp sugar, adha tbsp namak dal kar cholhay per paka kar garha paste bana lein.
- Dahi main 2 tbsp sugar or 1/2 tbsp namak or thora sa pani dal kar pheint lein.
- Zeera or sabit mirch taway per bhon kar pees lein.
- Ab phulkiyan pani se nikal lein or pani nichor kar ek dish main rakhty jayein.
- sari phulkiyan dish main rakhney k bad upar se dahi dal dein or is k bad imli ka paste dahi baron per thorey fasly se dalty jayein or zeera, hara dhanya or sabit mirch chihrk dein.
- Laziz punjabi dahi baray tayar hain.