Tuesday, August 9, 2011

Besan kay Pakorey

Ingredients:

Besan 1/2 kg
Hari mirch (bareek kati hoi) 8 adad
hara dhanya  1 bunch
hari piyaz (bareek kati hoi)  4 adad
Lal mirch (pissi hoi) 1 tbsp
Sabit Dhanya    1 tsp
Safaid zeera     1 tsp
Egg        1 adad
Salt        Hasb-e-zaiqa
Lemon ka ras    2 tbsp
Cooking oil for frying

Method:

- Ek bowl main besan or sarey masaley ache tarah mix karlein aur thori dair k liye aise he chor dein.
- Ab is main lemon ka ras mix karein.
- Ek karahi main oil garam karein. Jab oil garam hojaye to halki anch per pakorey daal kar deep fry karein.
- Mazedar pakorey tayyar hain. Ketchup ya chatni k sath serve karein.

Friday, July 22, 2011

Punjabi Dahi Baray

Ingredients:

Mong or maash ki dal   1/2 cup
Dahi   1/2 kg
Sugar   3 tbsp
Salt    Hasb-e-zaiqa
Lal mirch pissi hoi 1 tbsp
Zeera   1 tbsp
Lal Mirch sabit  8 adad
Imli ka paani  1 cup
Oil    1 cup
Hara dhanya for garnishing

Method:

- Mong or maash ki daal ko adha ghanta pehly bhigo kar rakh dein or phir usey bareeek pees lein.
- Is main ek tbsp namak or ek tbsp lal mirch mila lein.
- Ab frying pan main oil garam kar k chohti chohti phulkiyan bana kar dalty jayein. or fry kar k ek bowl main pani le kar us main bhigoty jayein.
- Imli k pani main ek tbsp sugar, adha tbsp namak dal kar cholhay per paka kar garha paste bana lein.
- Dahi main 2 tbsp sugar or 1/2 tbsp namak or thora sa pani dal kar pheint lein.
- Zeera or sabit mirch taway per bhon kar pees lein.
- Ab phulkiyan pani se nikal lein or pani nichor kar ek dish main rakhty jayein.
- sari phulkiyan dish main rakhney k bad upar se dahi dal dein or is k bad imli ka paste dahi baron per thorey fasly se dalty jayein or zeera, hara dhanya or sabit mirch chihrk dein.
- Laziz punjabi dahi baray tayar hain.

Wednesday, June 1, 2011

Murgh Cholay By Chef Rida Aftab

Ingredients:

Chicken     1/2 kg
Safaid Chanay(boiled)    2 cups
Hara Dhanya    2-3 tbsp
Piyaz(Bareek kati hoi)    1 adad
Adrak lehsan ka paste    1 tsp
Timatar        2 adad
Adrak(kati hoi)    1 adad
Hari mirch    4 adad
Garam masala    1 tsp
Lal mirch powder    2 tsp
Haldi        1/2 tsp
Salt        Hasb-e-zaiqa (1/2 tsp )
Sabit Garam masala    1 tsp
Oil            1/2 cup   

Method:

- Ek pan main oil garam kar k us main piyaz fry kar lein yahan tak k golden brown hojaye.
- Ab is main adrak lehsan ka paste shamil kar k kuch seconds bhonain or chicken add kar dein.
- Chicken ko thorey der pakaney k bad is main timatar, namak, lal mirch, sabit garam masala, garam masala, haldi dal kar pakney dein yahan tak k chicken or timatar gal jayein.
- Ab is main boiled chanay dal dein or gravy k liye 2 cup pani dal kar 5-7 minute tak pakayein.
- Phir is main hari mirch , hara dhanya dal kar 3 minute dam dey dein.
- Murgh cholay tayyar hain. Adrak k bareek slices dal kar serve karein.



Thursday, May 26, 2011

Mix Daal (Lentil) By Chef Saadat

Ingredients:

Dal chana     1 cup
Dal mong    1/3 cup
Dal maash    1/3 cup
Dal masoor     1/3 cup
Salt hasb-e-zaiqa
Lal mirch sabit    3-4 adad
HAldi        1/3 tsp
Lal mirch kutti hoi    1 tbsp
Oil        1/2 cup
Zeera        1 tbsp
Piyaz (small size - Baghar k liye)1 adad


Method:

- Tamam dalein pani main dal kar ubal lein. Jab ubaal aney lagy to is main namak, sabit lal mirch, haldi aur kutti hoi lal mirch shamil karein.
- Ab dhakan band kar k halki aanch per pakny dein.
- Jab daal gal jaye agr zarorat ho to mazeed pani dal dein.
- Baghaar k liye oil main piyaz brown kar k zeeray ka tarka lagayein or dal k uper dal dein.
- Mazedar mix dal tayyar hay. Roti ya chawal k sath serve karein.

Friday, May 20, 2011

Bohri Fried Chicken By Chef Sara Riaz

Ingredients:

Chicken 1 kg (8 pieces)
Haldi     1/4 tsp
Salt    1 tsp
Adrak lehsan ka paste     1 tbsp
Hari mirch pissi hoi     1 tbsp
Bread crumbs (double roti ka chora) 1 cup
Egg    2 adad
Timatar ka paste    2 tbsp
Zeera    bhuna howa(kuta hoa) 1 tbsp
Pani    1/2 cup
Oil hasb-e-zarorat



Method:

- Ek pan main chicken dalein aur is main namak, haldi, adrak lehsan ka paste or pissi hoi hari mirch dal kar mix karein.
- Is k bad bhuna hoa zeera, timatar ka paste or pani dal kar mix kar k isey dhanp dein or 10 minute tak pakayein.
- Ab ye adha gala hoa hoga to is ko kisi bowl main nikal lein or garam chicken per bread crumbs chihrk kar hilayein ta k bread crumbs ache tarah chicken per lag jaye.
- Anday 2 table spoon pani k sath phaint lein.
- Bread crumbs laga chicken anday main dip kar k deep fry kar lein.
- Mazedar bohri fried chicken tayyar hay. Sauce k sath serve karein.